Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 Hazrat Sheikh Abu Baker Nassaj

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ka ism graami Sheikh Abu Baker Nisaj Rahmatullah Alayh hai. Aap ke waalid ka ism graami Abdullah hai. Aap Rahmatullah Alayh Toos  ke rehne walay thay. Aap Rahmatullah Alayh  bohat barray aalam deen thay. AapHazrat Sheikh Abu al Qasim  Rahmatullah Alayh ke mureed o khalifa hain aur is ke ilawa Sheikh Abu Baker se bhi faiz yafta hain .

Aap Rahmatullah Alayh ibtidaye haal mein sakht riyazat aur mujahida karte thay. Bil-aakhir aap Rahmatullah Alayh  ke mujahida ne mushahida ka roop inkhtiyaar kar liya jis par aap Rahmatullah Alayh khoob roye. Ghaib se aawaz aayi ae Nisaj Rahmatullah Alayh  hamari talab par hi qanaat kar yeh ke yeh doulat talab bhi hum har kisi ko nahi dete tujhe panay se kya gharz hai .

Kisi ne Sheikh Rahmatullah Alayh se poocha ke matloob ka deedar kis terhan haasil kya ja sakta hai. Aap Rahmatullah Alayh  ne farmaya sadaq ki aankh se talab ke aaina mein matloob ka deedar kya ja sakta hai .

Sheikh Ahmed Ghazali Farmatay hain ke aik din mere murshid Hazrat Shaikh Abu Bakar Nisaaj  Rahmatullah Alayh apni munajat mein yeh keh rahay thay ke ya mere jaisay be car gunah gaar aadmi peda karne ki kya hikmat hai. Ghaib se nida aayi ke is mein yeh hikmat hai ke mein apna jamal tairay munh ke aaina mein daikhon aur apni mohabbat tairay dil mein daloon .

Hazrat Shaikh Abu Bakar Nisaaj  Rahmatullah Alayh  487 Hijri ko is darfani se rukhsat hue .